Jab bhi tanhai mein teri yaad aati hai
Ek aah si dil se nikal jati hai
Socha tha ke mohabbat mein baharen aayengi
Par teri judai seene ko cheer jati hai
Raaton ko uth uth kar socha karta hoon
Kya kabhi sachchi mohabbat bhi bhulai jati hai
Aisi kya khata hui ke tu bhul gayi
Dooriyan to dilon ko aur bhi nazdik le aati hain
Sawan ke mahine mein jab jhadi lagti hai
Baarish mein saath bheegne ki yaad aati hai
Bahut intezar kiya sawan ka maine
Ab to aankhen hi sawan ki kami puri kar jati hai
Hazar koshishen ki tujhe bhulne ki
Har jagah teri hi soorat nazar aati hai
Aankhen band bhi kar lu
Har saans mein teri khushbu aati hai
Dil ko bahut samjhaya
Jane wale ki sirf yaad hi aati hai
Dil kahe ke tu chahe mujhe milna
Par koi majboori tujhe rok jati hai
2006-12-19
06:06:04
·
3 answers
·
asked by
Sweeti J
1
in
Society & Culture
➔ Languages